The News Pit

Friday, 19th April 2024

Hindi Divas 2020: Famous Hindi Poems To Revisit on Hindi Day

By Pragya Gouhari -
  • Updated
  • :
  • 14th September 2020,
  • 3:00 PM

Happy Hindi Divas: Hindi was given the status of official language on the day of September 14, 1949. Since then, this day is celebrated in the entire country as Hindi Diwas.

Hindi Divas

Hindi Divas 2020

Hindi Divas 2020: Today, the day of September 14, Hindi Day is celebrated in the country. At present, Hindi penetration has reached the global market and its importance is increasing. However, there are many problems in this country due to which it is necessary to give Hindi its real respect. It is even said that the existence of Hindi in the country remains in crisis and keeping this in mind, the importance of Hindi Day increases further.

Poets and their poems have their unique styles of expressing the intricacies of life. Sometimes they bring a smile, sometimes they exhort, sometimes they enlighten, and sometimes they seem to mirror realities of our own life.

Read More: Kolkata Man Who Claims To Be Kangana Ranaut’s Fan Arrested For Threatening Sanjay Raut

Here are some of the most famous hindi poems:

  1. Sarfaroshi ki Tamanna in hindi

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet

Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai

Rahbar rahe mohabbat rah na jana rah mein

lazzat-e-sehra navdari dooriyein-manzil mein hai

Yun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar

Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere upar nisaar

Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Waqt aanay de bata denge tujhe aye aasman

Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai

Kheinch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed

Aashiqon ka jumghat aaj koocha-e-qaatil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

 

2. Dil ka dard – Hindi Prem Kavita

Dil mein dard hotho pe muskurahat ho

Aisa lage zindagi se koi shikayat na ho

Phir zindagi bhi kya yad karegi

Khudbakhud fariyad karegi

Kahegi shamil karlo mujhe bhi khud mein

Bas khushamad apki karna

Uski zarurat rahegi

-Gumnam Kavi

 

3.Kuch Khwab- Hindi Prem Kavita

Hamne bhi kuch khab dekhe the

Anjane me kisi ko apna banaya tha

Wo mile is kadar ki ham khud ko bhul gaye

Unke sapno ki duniya me chur ho gaye

Ham bhi sapno ki duniya me jeene lage

Unko dil hi dil me apna banane lage

Khuli jab aankhein toh sapne tootne lage

Jinhe ham chahte the wo dur hone lage

Anjane me jinhe ham chate the

Pata na chala wp kab kisi or ka naseeb hone lage

Ek pal me unhone hamein bhula diya

Kisi or ko apna bana liya

Hamein is kadar rula diya

Chahkar bhi ham unhein bhula na sake

Apna kisi or ko bana na sake

-Soni Negi

4.GALTI (MISTAKE)

Beshaq galti sirf teri nahi, (Without a doubt, the mistake was not entirely yours)

Kuch meri bhi hogi (But also mine to some extent)

Khamosh raato mein ankhein teri bhi bheegi hogi (In silent nights, your eyes must have been wet too)

Yakeen hai hamein (I believe this)

Tu bhi tadpa hoga bheegi palko ke sath (You would have missed me too with wet eyes)

Beete lamho ki tujhe bhi yaad ayi hogi (You would be missing the time we spend together too)

Beshaq galti sirf teri nahi, (Without a doubt, the mistake was not entirely yours)

Kuch meri bhi hogi (But also mine to some extent)

Wo raato ki kuch shararatein (Those naughty acts at night)

Jis mein aksar neendein kho jaya karti thi (Engaged in them, we used to forget our sleep)

Beshaq tujhe bhi yaad hoga (Without doubt, you would have remembered the incidents)

Ki kis kadar teri muhabbat mein aksar ankhein bheeg jaya karti thi (When my eyes used to be wet in your love)

Bura nahi hai tu (You are not bad)

Beshaq galti sirf teri nahi, (Without a doubt, the mistake was not entirely yours)

Kuch meri bhi hogi (But also mine to some extent)

Raat ke ahosh mein us pal tu bhi akele bheega hoga (In the loneliness of night, you would have also cried alone)

Jis pal tujhe meri zarurat sabse zyada hogi (The moment you felt my need the most)

Beshaq galti sirf teri nahi, (Without a doubt, the mistake was not entirely yours)

Kuch meri bhi hogi (But also mine to some extent)

–MEHJABEEN (AUTHOR)

5.Jo Hota Hai Acche Ke Liye Hota Hai

Badi chahat thi ki main bhi ishq kar lu, (I wish I could also fall in love)

Chand taarey tod laane ki baat kar lu. (I could talk about plucking moon and stars from the sky)

Teri har mushkilo mein sath nibhata rahu, (I could stand by your side in every adversity)

Janmo-Janam tak main tera hi rahu. (I stay only yours for multiple births)

Phir wo suhani si mausam ki ghadi agayi, (Again that beautiful moment has arrived)

Dil mein asha ki kiran layi. (It brought a ray of hope in my heart)

Socha chalo izhar kar du aj (I thought I should confess my love for you today)

Dino baad ayi thi himmat aaj (I had gathered the courage to do so after so many days today)

Maine kaha, na ji sakunga tum bin, (I said, I cannot live without you)

Tadap raha main jaise machli paani bin (I am distressed without you like a fish is without water)

Maana ki aaj main ek gareeb kisaan hu, (I agree that today I am a poor farmer)

Par kabhi ansu aane na dunga ye waada karta hu. (But I will never let tears enter your eyes, I promise it to you)

“Apni aukaat mein reh” keh kar wo mana kar gayi, (“Stay within your limits,” saying this she rejected me)

Bade ghamand se pyaar ko thukra wo chali gayi. (With great ego, she walked away rejecting my love)

Pyar vyar sab apne liye nahi yah soch, (This love etc is not my cup of tea, thinking this)

Zindagi ki raah mein main akela nikal pada, (I started moving ahead in my life alone)

Kuch varsho baad bangla-gaadi, paisa agaya, (After few years, I earned a big house, car and money)

Main apni zindagi jeena seekh gaya. (I learnt how to live my life)

Wo jahan kal thi wahi aaj hai (She is still at the same point as she was yesterday)

Maine tarakki ki unchai pa li hai. (I have attained the zenith of my progress in life)

Har andheri raat bad naya din aata hai, (After every dark night, a new day follows)

Kisi ne sach hi kaha hai, (Someone has said the truth)

Jo hota hai acche ke liye hota hai. (Whatever happens, happens for the good)

Jo hota hai acche ke liye hota hai. (Whatever happens, happens for the good)

-M.P Sarvaan, Narayanpur

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *